سلام
ہر ایک دور میں ہوتا ہے معرکہ حق کا
فریب بھی کئی ہوتے ہیں روز طشت ازبام
ہر ایک دور کے اپنے یزید ہوں گے مگر
حسینؑ ایک ہے جس کے لئے ہے میرا سلام
وہ معرکہ جسے تاریخ نے کیا ہے رَقَمٗ
جسے بُھلا نہیں پایا ہے چرخِ نیلی قام
ہزار اُبھرے ہیں اُس دِن سے آفتاب مگر
کنارِ دجلہ ہے اب تک محیط وہ اِک شام
تھا اُس کے سامنے ناناؐ کا اسوۂ حسنہ
نہیں ہے اُسکی بصیرت پہ اب بھی کوئی کلام
وہ جانتا تھا کہ نیّت ہے کوفیوں کی کیا
قرآن دیکھ کے کی جس نے اپنی سِپر نیام
کہیں پہ چادرِ زینبؓ کے تار بکھرے تھے
کہیں پہ زین کی گردن میں تیر تھا پیوست
کہيں پہ پیکرِ عبّاسؑ تھا پڑا بے دست
حسینؑ صبر کو تیرے ہزار بار سلام
اُٹھائے پھرتے ہیں لاشے ہمی کفن کے بغیر
ہے جبر و ظلم پہ قائم ابھی یہ سارا نظام
ہيں شمر آج بھی موجود میرے چاروں طرف
ہر ایک کلمۂ حق آج بھی حسینؑ کے نام
وہ کربلاء کا ہو میدان یا پھر آج کا دور
اِس ایک بات پہ ہوتی ہے آ کے بات تمام
یہی سبق مجُھے تاریخ نے سکھایا حسنؔ
یزیدیت کو فناء ہے حسینیت کو دوام
Har aik daur mein hota hai maarka haq ka
Fraib bhi kayi hotay hain roz tasht az-baam
Har aik daur ke apne Yazid houn ge magar
Hussain(AS) aik hai jis ke liye hai mera salam
Woh maarka jisay tareekh ne kya hai raqqam
Jisay bhula nahi paaya hai charkh-e-nili kaam
Hazaar ubhray hain uss diِn se aftaab magar
Kinaray Dajla hai ab tak muheet wo ik shaam
Tha uss ke samnay Nana(PBUH) ka Uswah-e-husna
Nahi hai uskee baseerat pay ab bhi koi kalaam
Woh jaanta tha ke niyyat hai kofiyoun ki kya
Quran dekh ke ki jis ne apni sipr nayam
Kahin pay chadar Zainab(AS) ke taar bikhare thay
Kahin pay zain ki gardan mein teer tha paivast
Kahin pay paiker Abbas(AS) tha parra be dast
Hussain(AS) sabr ko tairay hazaar baar salam
Uthaiye phirtay hain lashay hamee kafan ke baghair
Hai jabar-o-zulm pay qaim abhi yeh sara nizaam
Hain Shamer aaj bhi mujood mere charon taraf
Har aik kalma-e-haq aaj bhi Hussain(AS) ke naam
Woh Karbala ka ho maidan ya phir aaj ka daur
Es aik baat pay hoti hai aa ke baat tamam
Yahi sabaq mujhe tareekh ne sikhaya Hasan
Yazeediat ko fanaa hai, Hussainiyat ko dawam