بیوروکریسی


مرے قبیل کے لوگوں کا المیہ یہ ہے

کہ جھوٹ سچ میں تفاوت کیا نہیں کرتے

امیرِ شہر اگر دعوٰئ خُدائی کرے

تو رَدِّ کفر کی جرأت کیا نہیں کرتے

چھپا کے رکھتے ہیں سچ کو ہزار پردوں میں

کسی سے کہنے کی ہمت کیا نہیں کرتے

جنوں سے واسطہ اُن کو کبھی نہیں ہوتا

کریں جو کام رِیاضت کیا نہیں کرتے

Meray qabeel ke logoun ka almiyya yeh hai
Ke jhoot sach mein tafawut kiya nahi kartay
Ameer-e shehr agar dawa-e-khudai karay
Tou radd-e-kufr ki jurrat kiya nahi kartay

Chupa ke rakhtay hain sach ko hazaar pardoun mein
Kisi se kehnay ki himmat kiya nahi kartay
Junoon se waasta unn ko kabhi nahi hota
Karain jo kaam riyazat kiya nahi kartay


آنے والی حقیقتیں