کشمیر ۲۰۲۰


سُنا ہے اب کے برس بھی وادی
غنیم کے لشکروں کے لمبے محاصرے کے
حصا ر میں ہے
سُنا ہے خو شبو کا دیس محصور ہو چکا ہے
،سُنا ہے اب کے برس تو میرے گلاب چشمو ں
شفاف جھیلوں اور آبشا روں میں بہتا پانی
بھی جم گیا ہے
ہوا بھی خود میں ٹھِٹھر گئی ہے
سُنا ہے ہندو نواز جنتا گھروں کے باہر
نئی لکیریں، نئے نشان پھر لگا رہی ہے
یہ فیصلہ پھر سے ہو گیا ہے
کہ اِس برس بھی
وہ جبرو ظلمت کے دیوتا کو
مری زمیں کے جواں لہو کا خِراج دیں گے

مگر یہ کیا ہے ؟
کہ اِک طرف تو چنار وادی کے ہر نگر میں
لہو کی خوشبو رچی بسی ہے
مگر فضائیں نہ جانے کیسے
جوان جذبوں سے اور سوچوں سے معتبر ہیں
یہ کِس قبیلے کے لوگ ہیں جو
خود آپ اپنے لہو کی حدّت میں جی رہے ہیں
جو خا لی ہاتھوں سے لڑ رہے ہیں وہ سُرخرو ہیں
مگر جو اُن پر گِدھوں کی مانندجھپٹ رہے ہیں
وہ خوف کے اِک حصار میں ہیں
جہاں سے کوئی نہ لوٹ پائے
وہ ایک ایسے غُبار میں ہیں

سُنا ہے وادی نے آنے والے برس کی خاطر
نئے شہیدوں کی فصل تیار کر رکھی ہے
یہ معرکہ اب جنوں کی ساری حدوں سے آگے گزر گیا ہے
جو جبر سہ کر بھی سر بہ کف ہے، وہ جی رہا ہے
جو ظلم کر کے بھی ڈر رہا ہے، وہ مر گیا ہے

Suna hai ab ke baras bhi waadi
Ghaneem ke lashkaroun ke lambay muhaasray ke
Hissaar mein hai
Suna hai khushbo ka dais mahsoor ho chuka hai
Suna hai ab ke baras to meri ghulaab chashmoun
Shafaaf jheeloun aur aabsharon mein behta pani
Bhi jam gaya hai
Hawaa bhi khud mein thitthar gayi hai
Suna hai Hindu nawaaz janta gharoun ke bahir
Nai lakeerain, naye nishaan phir laga rahe hai
Yeh faisla phir se ho gaya hai
Ke iss baras bhi
Woh jabr-o-zulmat ke daiwataa ko
Meri zameen ke jawaan lahu ka khiraaj dain gay

Magar yeh kiya hai?
Ke ik taraf tou chinaar waadi ke har nagar mein
Lahu ki khushbo rachi bassi hai
Magar fizaayain na janay kaisay
Jawaan jazboun se aur sochoun se moatabar hain
Yeh kis qabeelay ke log hain jo
Khud aap apnay lahu ki hid’dat mein jee rahay hain
Jo khaali hathoun se lar rahay hain, woh surkhuroo hain
Magar jo unn par giddhoun ki maanind jhappat rahay hain
Woh khauf ke ik hisaar mein hain
Jahan se koi na lout paye
Woh aik aisay gubaar mein hain

Suna hai waadi nai aanay walay baras ki khatir
Naye shaheedoun ki fasl tayyar kar rakhi hai
Yeh maarka ab junoon ki saari hadoun se agay guzar gaya hai
Jo jabar seh kar bhi sar-ba-kaf hai, woh jee raha hai
Jo zulm kar ke bhi dar raha hai, woh marr gaya hai


مرے کشمیر نے آزاد ہونا ہے