کشمیر جنت نظیر


وہ میری جنّت نظیر وادی
وہ میرا کشمیر
جو خاک و خوں کے نئے سمندر کے سامنے ہے
وہ جس کی تاریخ نے شہادت کو
ایک اعزاز کر دیا ہے
وہ جس کے بیٹوں نے
اپنی ماؤں کے دودھ کو سرفراز کر کے
خود اپنے سینوں کو ہندو جنتا کی گولیوں کی
برستی لہروں میں
محوِ پرواز کر دیا ہے

وہ میری جنّت نظیر وادی
وہ میرا کشمیر
وہ جس کی مائیں
خود اپنے ہاتھوں سے اپنے بیٹوں کی
میّتوں کو اُٹھا کے لائیں
پھر اُن کے ماتھے پہ ضَوفِشاں
چاند تارا ہمیں دکھائیں
تو یہ بتائیں
کہ یہ تمہارے وطن کے پرچم کی جستجو میں
تمہاری مٹی کو چوم لینے کی آرزو میں
خود آج اپنے لہو میں دُھل کر
چلا گیا ہے
مجھے فخر ہے
یہ اپنے مقصد پہ کٹ مراہے

وہ میری جنت نظیر وادی
وہ میرا کشمیر
وہ جس کی بہنیں بھی بھائیوں کی طرح
بہادر ہیں اور یکتا ہیں
وہ جن کے خوابوں سے چوڑیوں کی کھنک کہیں دور جا چُکی ہے
وہ جن کی آنکھوں میں ایک ہی جستجو بسی ہے

بتاؤ مودی کوکوئی جا کر
شکست اُس کے نصیب میں ہے
نہ جیت پائے گا جبر اُسکا
وہ میری جنت نظیر وادی
وہ میرا کشمیر
اپنی ماؤں کےاور بیٹوں کے
خون سے سرفراز ہو گا
بہار آکے وہیں رُکے گی
چمن میں پھر پھول کِھل اُٹھیں گے
غزل سرا نغمہ ساز ہو گا

Woh meri jannat nazeer waadi
Woh mera Kashmir
Jo khaak-o-khoun ke naye samandar ke samnay hai
Woh jis ki tareekh nai shahaadat ko
Aik aizaaz kar diya hai
Woh jis ke baitoun nai
Apni maaoun ke doodh ko sarfraz kar ke
Khud apnay seenoun ko hindu janta ki goliyoun ki
Barasti lehron mein
Mehv-e-parwaaz kar diya hai

Woh meri jannat nazeer waadi
Woh mera Kashmir
Woh jis ki maaian
Khud apnay hathon se apne baitoun ki
Mayatoun ko utha ke layain
Phir unn ke maathay pay zoufishan
Chaand taara hume dikhain
Tou yeh bataian
Ke yeh tumaharay watan ke parcham ki justajoo mein
Tumhari mat’ti ko choom lainay ki arzoo mein
Khud aaj apnay lahu mein dhul kar
Chala gaya hai
Mujhe fakhar hai
Yeh apnay maqsad pay kat mara hai

Woh meri jannat nazeer waadi
Woh mera Kashmir
Woh jis ki behnain bhi bhaiyoun ki tarah
Bahadur hain aur yaktaa hain
Woh jin ke khawaboun se choriyoun ki khanak kahin dour ja chuki hai

Woh jin ki aankhon mein aik he justajoo basee hai
Batao Modi ko koi ja kar
Shikast uss ke naseeb mein hai
Na jeet paye ga jabr uss ka
Woh meri jannat nazeer waadi
Woh mera Kashmir
Apni maaoun ke aur baitoun ke
Khoon se sarfraz ho ga
Bahaar aa ke waheen rukegi
Chaman mein phir phool khil uthain gay
Ghazal sara naghma saaz ho ga

کشمیر ۲۰۲۰