حمدِباری تعالیٰ


اگر کبھی وہ ہمیں کچھ سزا بھی دیتا ہے

کریم ایسا ہے اُس کی جزاء بھی دیتا ہے

ہوا کے ساتھ وہ لاتا ہے پانیوں کو اتار

پھر اِس زمین کو اُن سے جِلاء بھی دیتا ہے

کبھی بساط سے زیادہ نہ دے کوئی تکلیف

جو ظرف کم ہو تو اُس کو بڑھا بھی دیتا ہے

عجیب صاحبِ اسرار ہے مِرا ستّار

ہزار عیب ہوں اُن کو چھپا بھی دیتا ہے

ہو مہربان تو دیتا ہے شوق کو مہمیز

اُفق کے پار کے عالم دِکھا بھی دیتا ہے

عطا پہ آئے تو دنیا میں معتبر کر دے

بس ایک موج کو دریا بنا بھی دیتا ہے

قدیر ایسا کہ ہر فیصلہ اٹل اُس کا

سمندروں میں جزیرے بنا بھی دیتا ہے

ہے اِک اُسی کو ہی اعجاز اسمِ کُن فَیَکُوُن

اِس ایک اسم سے محشر اٹھا بھی دیتا ہے

اُتار دیتا ہے سورج کو رات میں فوّاد

پھر اُسکی کوکھ سے دِن اِک نیا بھی دیتا ہے

Agar kabhi woh hamein kuch saza bhi daita hai
Kareem aisa hai uss ki jazaa bhi daita hai
Hawa ke sath woh laata hai paanion ko utaar
Phir iss zameen ko unn say jilah bhi daita hai
Kabhi basaat say ziyada na de koi takleef
Jo zarf kam ho to uss ko barrha bhi daita hai
Ajeeb sahib-e-asaraar hai mira sattaar
Hazaar ayeb houn unn ko chhupa bhi daita hai
Ho meharbaan to deta hai shoq ko mehmaiz
Uffaq ke paar ke aalam dikha bhi daita hai
Ataa pay aeye to duniya mein motabar kar dai
Bass aik mouj ko dariya banaa bhi daita hai
Qadeer aisaa ke har faisla attal uss ka
Samandroun mein jazeeray banaa bhi daita hai
Hai ik ussi ko he ejaaz-e-ism-e-kun-fayakoun
Iss aik ism say mehshhar uthaa bhi daita hai
Utaar daita hai sooraj ko raat mein fawad
Phir usski kokh say ik din naya bhi daita hai

نعتِ رسولِ پاکؐ