جہدِ مسلسل
( یاسین ملک کے نام)



تمہيں جو بھی کہا تھا ظالموں نے
تم نے کر ڈالا
لرزتے کانپتے بے جان لفظوں ميں
سُنا ڈالا وہی اک فيصلہ جو
مرے حاکم نے لکھا تھا
کہا تم نے کہ مجھ کو عمر بھر اب تو
پسِ زنداں ہی رہنا ہے
مری باتيں نئی نسلوں کے ذہنوں ميں
زہر اِک گھولتی ہيں
اور اُنہيں برباد کرتی ہيں
اُنہيں انکار کی جرات بھی ديتی ہيں
اور اُس سے بھی زيادہ
خوف سے آزاد کرتی ہيں

تمہيں شايد گماں ہے کہ تمہارا حکم نامہ
صعوبت قيد و بند کی اور تنہائی کا ڈر
ہميں مجبور کر دے گا
مری نسلوں کو بھی محکوم رکھے گا
ہميں معزور کردے گا
تمہيں شايد کسی نے يہ بتايا ہی نہيں
مری گردن کے نيچے
مرے کندھوں کی ھڈيوں اور پھر
گھٹنوں کے گودوں ميں
مرے پیروں کے تلووں پر
اندھيری رات کے پچھلے پہر ميں
بندھے ھاتھوں بندھے ٹخنوں پہ برسی لاٹھياں
مرے اس ناتواں سے جسم کے اندر لگے گھاؤ
ابھی بھی درد کرتے ہيں
مگر ان سے کہيں آگے
مری آنکھوں کی پھيلی پُتليوں سے جھانکتے بے گور لاشے
مرے پياروں کے وہ بے جان چہرے
تمہارے ظلم و دہشت کے نشاں
اب بھی فروزاں ہيں
سو يہ گھاؤ تو سب اپنی جگہہ ہيں
مگر پھر بھی
مرے چہرے پہ عزمِ بے کراں ہے
کہ قيد و بند کا يہ حکمنامہ جو نيا ہے
تمہارے واسطے ہی امتحان ہے

Tumhe jo bhi kaha tha zaalmon ne
Tum ne kar dala
Leraztay kanpate bay-jaan lafzon mein
Suna dala wohi ik faisla jo
Meray haakim ne likha tha
Kaha tum ne ke mujh ko umar-bhar ab to
Pass-e-zindaan hi rehna hai
Meri baatein nayi naslon ke zehnon mein
Zehar ik gholti hain
Aur unhain barbaad karti hain
Unhain inkaar ki jurrat bhi deti hain
Aur uss se bhi ziyada
Khauf se azad karti hain

Tumhe shayad guma hai ke tumhara hukum nama
Saoubat qaid-o-band ki aur tanhai ka dar
Hamein majboor kar day ga
Meri naslon ko bhi mehkoom rakhay ga
Hamein maa'zoor kardey ga
Tumhe shayad kisi ne yeh bataya hi nahi
Meri gardan ke neechay
Marey kaandhon ki hadioun aur phir
Ghutnon ke goudoun mein
Marey peeron ke talwon par
Andheri raat ke pichli pehar mein
Bandhay hathon bandhay takhnoun pay barsi lathiyain
Marey is naatvaan se jism ke andar lagey ghaao
Abhi bhi dard karte hain
Magar un se kahin agay
Meri aankhon ki phailee putliyon se jhankte bay-goar lashay
Marey pyaron ke woh be jaan chehray
Tumahray zulm-o-dehshat ke nishaan
Ab bhi farozan hain
So yeh ghaao to sab apni jagah hain
Magar phir bhi
Marey chehray pay azmِ bay karaan hai
Ke qaid-o-band ka yeh haknamah jo naya hai
Tumahray wastay hi imtehaan haay

حمدِباری تعالیٰ