خونِ ناحق


کہا تھا ميرے نبؐی نے بے شک
کہ جاں کی حُرمت ہے تم پہ واجب
کہا تھا اُس نے کہ خونِ ناحق نہ معاف ہو گا
کہ روزِ محشر خدائے برحق حساب لے گا
مگر يہ کيسے ہيں نام ليوا مرے نبؐی کے
جو اپنی نفرت کو
اپنی حيواں جبلّتوں کی ضرورتوں کو
نبؐی کی اُلفت کا نام دے کر
نيا ہی فتنا اٹھا رہے ہيں

کہا تھا عمرِ خطابؓ نے بھی
فرات کے آخری کنارے پہ مرنے والے نحيف کُتے کی
جان کا بھی حساب ہو گا
وہ جن کو دُنيا ميں حاکميت کا اِذن ہوگا
اُنہی کو دينا جواب ہو گا

مگر يہ کيا ہے
يہ کيسے حاکم ہيں جو ہر اک پل
مرے خدائے بزرگ و برتر کے نامِ نامی کو بيچتے ہيں
مرے نبؐی کی وراثتوں کے امين بن کر
غريبِ شہرِ وفا کو ہی آزما رہے ہيں
مرے نبؐی کی رياستوں کے نقيب بن کر
ہر ايک لمحہ، ہر ايک لحظہ
صليبِ نفرت اُٹھا رہے ہيں
يہ کيسے وارث ہيں منبروں کے
جو علم اور آگہی کے سارے سبق
بھی يکسر بھلا رہے ہيں

مرے خدايا!
يہ کيسا اسرار ِ روز و شب ہے
کہ جس نبؐی کو جہاں ميں رحمت
بنا کے بھيجا گيا تھا
اب ہم اُسی کی خاطر
کسی کو زندہ جلا رہے ہيں
ميں جانتا ہوں يہ تيری رحمت
کبھی گوارا نہيں کرے گی
مجھے يقيں ہے کہ روزِ محشر
انہی کا روزِ حساب ہوگا
يہ جو زميں پر خدا بنے ہيں
انہی پہ نازل عذاب ہو گا

Kaha tha mere Nabi (PBUH) ne be-shak
Ke jaan ki hurmat hai tum pay wajib
Kaha tha uss ne ke khon-e-nahaq nah maaf ho ga
Ke Roz-e-Mahshar Khuday-e-Barhaq hisaab le ga
Magar yeh kaisay hain naam lewa marey Nabi (PUBH) ke
Jo apni nafrat ko
Apni heywan Jabbillatoun ki zaroraton ko
Nabi (PUBH) ki ulfat ka naam day kar
Naya hi fitna utha rahay hain

Kaha tha Umar-e-Khitaab (RA) ne bhi
Faraat ke aakhri kinare pay marnay walay naheef kutay ki
Jaan ka bhi hisaab ho ga
Woh jin ko duniya mein hakmiyat ka azzn hoga
Unhi ko dena jawab ho ga

Magar yeh kya hai
Yeh kaisay haakim hain jo har ik pal
Marey Khuday-e-Buzurag-o-Bartar ke naam nami ko baichtay hain
Marey Nabi (PUBH) ki varastoun ke amin ban kar
Ghareeb-e-Shehr-e-Wafa ko hi aazma rahay hain
Marey Nabi (PUBH) ki reyaston ke naqeeb ban kar
Har aik lamha, har aik lehzah
Saleeb-e-nafrat uttha rahay hain
Yeh kaisay waris hain Mambroun ke
Jo ilm aur aagahi ke saaray sabaq
Bhi yaksar bhala rahay hain

Marey Khudaaya!

Yeh kaisa Asrar-e-roz-o-shabb hai
Ke jis Nabi (PUBH) ko jahan mein rehmat
Bana ke bheja gaya tha
Ab hum usi ki khatir
Kisi ko zindah jala rahay hain

Mein jaanta hon yeh teri rehmat
Kabhi gawara nahi kere gi
Mujhe yaqeen hai ke roz-e-mahshar
Inhee ka roz-e-hisaab hoga
Yeh jo zamee par kkhuda banay hain
Inhee pay nazil azaab ho ga

غزل