غزل


شہر کو لُوٹا، شہر جلایا مگر شہر کے امیر ٹھہرے

ہمیں تھا دعویٔ قتل جن پر وہی ہمارے سفیر ٹھہرے

سُراغِ قاتل مِلے تو کیسے کہاں سے لائے کوئی گواہی

کہ ہاتھ سارے جو خوں رنگے تھے وہ منصفوں کے مشیر ٹھہرے

ہماری مثبت ضَرَب کا حاصل نفی میں ہوگا، یہ سوچ لینا

ہمیں نفی کر کے خود سے رکھنا کہ ہم تو کب کے فقیر ٹھہرے

عجیب سی اُس میں اِک کشش ہے کمال کی اُس میں تمکنت ہے

ہے ایک عالم اسیر جس کا، اُسی کے ہم بھی اسیر ٹھہرے

وہ جِن کی بنیاد جبر پر تھی، لِکھے گئے تھے جو مصلحت میں

وہ فیصلے میرے مُنصفوں کے مِرے عہد کی نظیر ٹھہرے

وہ جِن کو اِذنِ خَلَق تھا وہ سب ہوئے ہیں کُنجِ قفس میں پابند

جو کوتوالِ شہر کے قدموں کی خاک تھے وہ امیر ٹھہرے

خدائے واحد کا وصف ہے یہ شریک اس میں ہو کوئی کیونکر

ہر ایک غاصِب یہ چاہتا ہے وہ کُلِّ شَیۡ ءٍ قَدِیۡر ٹھہرے

فوادؔ میرے وطن کی تاریخ ایک جملے میں ہے فروزاں

وہ جِن کہ لہجوں میں بانکپن تھا انہی کے سینوں تیر ٹھہرے

Shehr ko loota, shehr jalaya magar shehr ke ameer thehray
Hume tha dawa-e-qatal jin par, wohi hamare safeer thehray
Suraag-e-qatil milay tou kaisay, kahan se laaye koi gawahi
Ke haath saray jo khoon rangay thay woh munsifoun ke musheer thehray
Hamari masbat zarab ka haasil nafee mein hoga, yeh soch laina
Hume nafee kar ke khud se rakhna ke hum tou kab ke faqeer thehray
Ajeeb si uss mein ik kashish hai, kamal ki uss mein tamka’nt hai
Hai aik aalam aseer jis ka, ussi ke hum bhi aseer thehray
Woh jin ki bunyaad jabr par thee, likhay gaye thay jo maslehat mein
Woh faislay meray munsifoun ke, meray ehad ki nazeer thehray
Woh jin ko izn-e-khalaq tha woh sab huye hain kunj-e-qafas mein paband
Jo koutwal-e-shehr ke qadmoun ki khaak thay woh ameer thehray
Khuda-e-wahid ka wasf hai yeh, shareek iss mein ho koi kyun kar
Har aik ghaasib yeh chahata hai woh kull-e-shayyin-qadeer thehray
Fawad meray watan ki tareekh aik jumlay mein hai farozaan
Woh jin ke lehjoun mein baankpan tha unhe ke seenoun teer thehray

نظم